Education Loan Kaise Milta Hai: Education loan ke baare mein aapne kai baar suna hoga. Aksar is loan ki zaroorat tab padti hai jab aap chaahkar bhi apni padhaai nahi poori kar paate hain. Isliye aapko pata hona chahiye ki education loan ki zaroorat kab padti hai aur kab liya ja sakta hai.
Education Loan Kaise Milta Hai?
Agar aap samajhna chahte hain ki education loan kaise milta hai, uske liye kaise aavedan kiya jaata hai, kaise aap education loan ki kist chuka sakte hain, aur education loan ki byaj darein kitni hoti hain, toh hamare is lekh ko ant tak padhiye.
Education Loan Kya Hota Hai?
Education Loan Kaise Milta Hai iske baare mein hum aapko jankari den usse pehle aaye ek baar hum aapko yeh bata dein ki education loan ek tarah ka udhaar hota hai jo aap apni padhaai ke liye lete hain. Yeh kitni bhi badi maatra mein ho sakta hai.
Iske liye bhi wahi tareeka hota hai jo aap doosre loan lene mein apnaate hain. Agar aapne isse pehle kabhi bank se loan liya hai toh aap wahi process apnaate hue education loan bhi asaani se le sakte hain, bas thode bahut badlaav dekhne ko milenge.
Education Loan Kinhein Milta Hai?
Education Loan Kaise Milta Hai isse pehle aapko yeh samajhna chahiye ki education loan kinhein milta hai. Education loan hamesha chhatron ko diya jaata hai jo kahin padhaai karne ja rahe hain, chahe wo desh mein ho ya videsh mein.
Jab wahan par fees bharne ki baari aati hai, aap bank mein jaakar loan ke liye aavedan kar sakte hain. Uske baad aapka loan pass ho jaata hai aur aap wahan jaakar asaani se padhaai kar sakte hain. Yeh hi tareeka education loan lene ke liye sabse best hai.
Education Loan Kin Courses Par Milta Hai?
Agar aap soch rahe hain ki aap jo course karne ja rahe hain uske liye education loan milta hai ya nahi, toh hum aapko bata dein ki education loan har tarah ke courses ke liye milta hai. Bas aapko pata hona chahiye ki uski fees kitni hai. Phir aap asaani se education loan ke liye aavedan kar sakte hain.
Education Loan Ki Byaj Darein?
Education loan ki byaj darein aam loan se thodi zyada hoti hain. Isliye agar aap education loan lene ja rahe hain toh sabse pehle uski byaj darein avashya check kar lein. Anuman ke taur par, education loan ki byaj darein 5% se 8% ke beech mein hoti hain, jo samay ke saath badalti rehti hain.
Education Loan Kitne Din Mein Pass Hota Hai?
Agar aapke paas saare dastavej sahi hain toh aapka education loan 1 mahine ke andar pass ho jaata hai. Isliye education loan lete samay ghabraane ki zaroorat nahi hai.
Education Loan Ke Liye Zaroori Dastavej:
- Aadhaar card
- PAN card
- Bank account
- College se judi jankari
- Girvi rakhne wali cheez se jude kagazat
- Mobile number
- Email ID
Education Loan Dene Wale Pramukh Bank:
- State Bank of India
- Punjab National Bank
- Canara Bank
- Central Bank
- HDFC Bank
- Bank of Baroda
- Axis Bank
- Allahabad Bank
- Anya bank
Education Loan Online Kaise Milta Hai?
Aaj kal kai online applications aa chuki hain jo aapko online education loan dene ka kaam karti hain, lekin inmein aapko zyada byaj darein chukani hoti hain. Kuch online applications ke naam yeh hain:
- mPokket
- True Balance
- Cashe
- Loan Assist
- Stash Fin
Private Bank Ke Zariye Education Loan: Aaj kal lagbhag sabhi private bank education loan dete hain. Aap kisi bhi private bank mein jaakar education loan ke baare mein poochh sakte hain aur wahan se jankari le sakte hain.
Sarkari Bank Ke Zariye Education Loan: Sarkari bank se aapko kam byaj dar par loan mil sakta hai aur yeh zyada safe bhi hota hai. Aapke saath kisi bhi tarah ka dhokha hone ka dar nahi hota, isliye hamesha koshish karein ki sarkari bank se hi education loan lein.
Education Loan Kahan Se Lena Chahiye?
Education Loan Kaise Milta Hai yeh jaanne ke baad aapke mann mein yeh sawaal aayega ki education loan kahan se lena chahiye. Aap sabse pehle bank ki byaj darein check kar lein aur jahan sabse kam ho, wahan se loan lein. Kabhi bhi online madhyam se education loan na lein.
Education Loan Ke Liye Aavedan Kaise Karein?
- Apne najdiki bank shaakha mein jaakar loan ke liye aavedan form lein.
- Form ko bhar kar, photo chipka kar, aur saare kagaz lagakar bank mein jama kar dein.
- Bank ki taraf se aapke kagaz check kiye jaayenge.
- Bank aapke documents ki jaanch karega, ismein hafte se lekar 20 din tak lag sakte hain.
- Aapko bank se message aa jaayega ki aapka loan pass ho gaya hai.
- Agar loan pass nahi hota hai, toh dobara se bank mein jaakar pata karein.
Education Loan Kitne Samay Mein Chukana Hota Hai?
Education loan chukane ki baat is baat par nirbhar karti hai ki aapka course kitne saal ka hai. Agar course 4 saal ka hai, toh 4 saal baad loan chukana hoga. Agar aap nahi chukate hain, toh bank se phone aane lagte hain. Isliye padhaai poori hote hi loan ki kist dena shuru kar dein.
Education Loan Na Chukane Par Kya Hota Hai?
Agar aap education loan nahi chuka pate hain, toh bank aapko pareshan karne lagta hai, ghar par notice bhejne lagta hai, aur jo documents aapne diye hain unko jabt kar liya jaata hai. Iss sabse bachne ke liye loan ko samay se chuka dena chahiye.
Kya Education Loan Lena Chahiye?
Agar aap serious hain apni padhaai ke liye, toh aapko education loan lena chahiye. Lekin agar aap maza lene ke liye loan le rahe hain, toh aapko future mein kaafi dikkat hogi. Isliye maza lene ke liye kabhi bhi loan na lein.
Education Loan Lete Samay Zaroori Savdhaani:
- Byaj darein check karein aur kam byaj wale bank se loan lein.
- Kisi dalal ki madad se loan na lein, yeh aapko nuksan pahuncha sakta hai.
- Online application se loan lene se bachne ki koshish karein.
- Padhaai ke liye serious hain toh hi loan lein.
- Loan ki samay seema dhyaan se set karein taaki aap asaani se chuka saken.
- Aise sansthaan mein padhaai karein jahan se nikalne ke baad naukri ke acche options ho.
FAQ:
- Education Loan Kitne Lakh Tak Milta Hai?
Loon aapki fees ke hisaab se milta hai. - Education Loan Kitne Saal Ke Liye Milta Hai?
Loan aapke course ke hisaab se milta hai. - Education Loan Ki Byaj Darein?
Byaj darein aam tor par 5% se 8% hoti hain, jo bank ke hisaab se badalti rehti hain. - Education Loan Kahan Se Lena Chahiye?
Sarkari bank se education loan lena sabse accha hota hai.
Nishkarsh:
Aasha hai ki ab aap samajh gaye honge ki Education Loan Kaise Milta Hai aur kaise aap uske liye aavedan kar sakte hain.