Bihar Inter-Caste Marriage Scheme:-Agar aap Bihar rajya ke rehne wale hain aur aapne inter-caste marriage ki hai, to sabse pehle hum aapko dil se badhai aur shubhkaamnayein dete hain. Saath hi aapko Bihar sarkar ki ek mahatvapoorn yojana, Bihar Inter-Caste Marriage Scheme ke baare mein batana chahte hain. Is yojana ki puri jaankari paane ke liye hamare saath bane rahna hoga, taki aap asaani se is yojana ka pura laabh utha saken.
Aapko bata dein ki Bihar Inter-Caste Marriage Scheme mein apply karne ke liye ladke ki umar kam se kam 21 saal aur ladki ki umar kam se kam 18 saal honi chahiye. Tabhi aap is yojana mein apply kar paayenge aur iska faayda utha sakenge.
Bihar Inter-Caste Marriage Scheme Overview:
- Name of the Foundation: Dr. Ambedkar Foundation
- Article Title: Bihar Inter-Caste Marriage Scheme
- Scheme Name: Antarjatiya Vivah Protsahan Yojana Bihar 2024
- Article Type: Sarkari Yojana
- Who Can Apply: All eligible applicants can apply
- Mode of Application: Offline
- Financial Assistance: ₹3 Lakh per beneficiary
- Application Form Sent To: District Magistrate, Collector, Deputy Commissioner, or Social Welfare Department of the Concerned State Govt./UT, and Director, Dr. Ambedkar Foundation, Jeevan Prakash Building, New Delhi – 110001
- Official Website: Click Here
Sarkar ab inter-caste marriage karne walon ko ₹3 lakh ki pratsahan raashi de rahi hai. Iska pura laabh kaise milta hai aur kaise aap yojana ke liye apply kar sakte hain, iska pura detail yahan diya gaya hai.
Bihar Antarjatiya Vivah Yojana ke Fayde:
- Is yojana ke tehat kanuni taur par manya inter-caste marriage karne wale nav dampati ko ₹1 lakh se ₹3 lakh tak ki pratsahan raashi di jaati hai.
- Nav dampati ko ek saath ₹2.5 lakh nahi diye jaate, kuch bhaag mein yeh raashi di jaati hai.
- ₹3 lakh ka laabh pane ke liye nav dampati ko ₹10 ke Non-Judicial Stamp Paper par Pre-Stamped Receipt dikhani hoti hai, jiske baad ₹1.5 lakh unke joint account mein jama kiye jaate hain.
- Baaki ke paise Fixed Deposit ke roop mein 3 saal ke liye Ambedkar Foundation ke naam par rakhe jaate hain.
- 3 saal ke baad yeh rakam byaaj ke saath wapas di jaati hai.
Apply Karne Ke Liye Yogyahta:
- Ek spouse SC aur doosra Non-SC ho.
- Shadi kanuni taur par valid aur Hindu Marriage Act, 1955 ke tehat registered honi chahiye.
- Doosri ya uske baad ki shadi par koi pratsahan nahi milega.
- Shadi ke ek saal ke andar pratsahan yojana ka prastaav diya ja sakta hai.
Apply Karne Ke Documents:
- Application Proforma
- SC Certificate
- OBC/ST/General Caste Certificate
- Hindu Marriage Act ke tahat Marriage Certificate
- First Marriage Certificate/Affidavit
- MP/MLA se Recommendation
- District Collector se Recommendation
Apply Online:
- Official website par jaake apply karen.
- Form bharne ke baad zaroori documents scan karke upload karen.
- Submit karte hi application receipt print kar lein.
Apply Offline:
- Application form download karen.
- Form ko dhyaan se bharen aur zaroori documents ke saath attach karke Director, Dr. Ambedkar Foundation ke address par bhejen.
Summary:
Humne is article mein aapko Bihar Inter-Caste Marriage Scheme ki puri jankari di hai. Aap yojana mein apply karke iska laabh utha sakte hain.